Monday, January 2, 2012

Na Jaane....


na jaane q chup reh ke 
kaafi kuch bolna chahta hoon main
na jaane q aankhein kholkar
ek umra tak sona chahta hoon main


na jaane kya bechaini
na jaane kya saazish hai
na jaane mere is dil ki
kaunsi si ye adhuri khwaish hai


na jaane q lagta hai aisa
ki samundar ko bhi 
apni aankho mein chupa lunga
na jaane q lagta hai aisa
ki uske paani ki ek boond 
bhi bahar na jaane dunga




na jaane  kis raah pe 
badhta chala jaa raha hoon main
na jaane kis mod par 
apna ghar bana raha hoon main


na jaane ye talsash rukegi kaahan


jaanta hoon, toh bas itna
ki chalta chalunga
jab tak pair na thake
chalta chalunga jab tak
ye saans na रुके


-- Abhishek Shrivastava